tum ne sīkhā hai agar sirf hukūmat karnā
yaad rakhnā hameñ aatā hai baġhāvat karnā
donoñ maidānoñ meñ apnā nahīñ saanī koī
ham se tum soch ke nafrat yā mohabbat karnā
ḳhud sikhā.e the jise ham ne ye ulfat-ādāb
ab ye lāzim hai khule us pe adāvat karnā
ḳhud-baḳhud log biThā.eñge tumheñ palkoñ par
pahle ḳhud siikh to lo auroñ kī izzat karnā
gar nahīñ rañj mujhe us se bichhaḌne kā to phir
aaj tak kyoñ nahīñ bhūlā use ruḳhsat karnā