Sameena Aslam Sameena

ba-zahir tu paraya bhi nahin hai

Sameena Aslam Sameena

ba-zāhir tū parāyā bhī nahīñ hai
vo apnā ho ke bhī apnā nahīñ hai
mire lab se hañsī chhīnī thī jis ne
sunā hai vo bhī ab hañstā nahīñ hai
mirī āvārgī pe rāstoñ ne
mujhe pūchhā koī terā nahīñ hai
zamāna muntazir hai us lahū kā
jo merī aañkh se Tapkā nahīñ hai
mujhe to ḳhauf apne aap se hai
kisī se Dar mujhe lagtā nahīñ hai
huā jo so huā ab chhoḌ bhī do
bahut bhī sochnā achchhā nahīñ hai
ḳhatā apnī bhī maano kuchh 'samīna'
usī kā dosh to saarā nahīñ hai
Top Urdushayar.com