Meer Mustahsan Khaleeq

ghaflat mein farq apni tujh bin kabhu na aaya

Meer Mustahsan Khaleeq

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1844
ġhaflat meñ farq apnī tujh bin kabhū na aayā
ham aap ke na aa.e jab tak ki tū na aayā
saaqī ne jām-e-mai to shab pai-ba-pai diyā par
niyyat bharī na apnī jab tak subū na aayā
kotāh hai nihāyat dast-e-duā hamārā
dāman asar kā jā kar ik baar chhū na aayā
āshiq ko tere kal se thī jāñ-kanī kī hālat
sab dekhne ko aa.e allāh tū na aayā
phūñkā bhī tūr-o-vādī ba.az ai 'ḳhalīq' lekin
apnī sharāratoñ se vo sho.ala-ḳhū na aayā
Top Urdushayar.com