Meer Mustahsan Khaleeq

naza mein gar meri baalin pe tu aaya hota

Meer Mustahsan Khaleeq

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1844
naza.a meñ gar mirī bālīñ pe tū aayā hotā
is tarah ashk maiñ āñkhoñ meñ na laayā hotā
mere ḳhurshīd na hotā ye mirā roz-e-siyāh
tū ne gar zulf meñ mukhḌā na chhupāyā hotā
bāġh-e-jannat meñ bhī kyā ḳhuub guzartī merī
vaañ bhī sar par jo tirī zulf kā saayā hotā
nāsehā chāk-e-garebāñ ke silāne se husūl
chaak āñkhoñ kā mirī tū ne silāyā hotā
phuul paḌtā na 'ḳhalīq' ātish-e-gul se us par
āshiyāñ ham ne Tuk ūñchā jo banāyā hotā
Top Urdushayar.com