tū aag rakhnā ki aab rakhnā
hai shart itnī hisāb rakhnā
zabān kā kuchh ḳhayāl rakhkar
bayān ko kāmyāb rakhnā
qarīb aao ki chāhtā huuñ
hathelī par māhtāb rakhnā
agar tamāzat ko sah sako tum
to hasrat-e-āftāb rakhnā
jo kahnī ho baat ḳhaar jaisī
to lahja apnā gulāb rakhnā
'ziyā' kisī se savāl pūchho
to zehn meñ tum javāb rakhnā