Subhash Pathak Ziya

zabt kar gham ko ki jine ka hunar aaega

Subhash Pathak Ziya

Shivpuri, Madhya Pradesh, India

1990
zabt kar ġham ko ki jiine kā hunar aa.egā
ba.ad patjhaḌ ke bahāroñ kā safar aa.egā
raah sahrā kī chalā hai to ye bhī sun le tū
sochnā chhoḌ de raste meñ shajar aa.egā
itnā ḳhush bhī na ho tūfān guzar jaane par
ye samundar hai yahāñ phir se bhañvar aa.egā
jis pe har samt se hī aate rahe hoñ patthar
kaise us peḌ pe phir koī samar aa.egā
aa.ina honā hī kaafī nahīñ hai kamre meñ
saaf hogā vo tabhī aks nazar aa.egā
le ke imdād kā jhūTā sā bahāna koī
mujh ko auqāt batāne vo idhar aa.egā
apne āġhosh meñ le lūñgā 'ziyā' maiñ us ko
raat ko chāñd jo dariyā meñ utar aa.egā
Top Urdushayar.com