vo māhtāb abhī baam par nahīñ aayā
mirī duāoñ meñ shāyad asar nahīñ aayā
bahut ajiib hai yāroñ bulandiyoñ kā tilism
jo ek baar gayā lauT kar nahīñ aayā
ye kā.enāt kī vus.at khulī nahīñ mujh par
maiñ apnī zaat se jab tak guzar nahīñ aayā
bahut dinoñ se hai be-shakl sī merī miTTī
bahut dinoñ se koī kūza-gar nahīñ aayā
bas ek lamhe ko be-pairāhan use dekhā
phir is ke ba.ad mujhe kuchh nazar nahīñ aayā
ham ab bhī dasht meñ ḳhema lagā.e baiThe haiñ
hamāre hisse meñ apnā hī ghar nahīñ aayā
zamīn bāñjh na ho jaa.e kuchh kaho 'az.har'
suḳhan kī shāḳh pe kab se samar nahīñ aayā