dushmanī meñ hī sahī vo ye karam kartā rahā
aa.ina mujh ko dikhā kar aib kam kartā rahā
vo taqāzā-e-mohabbat thā to maiñ ne uf na kī
phir to zālim umr bhar dil pe sitam kartā rahā
ḳhairiyat hī pūchhne aa.egā tū ye soch kar
merā dil bīmār ḳhud ko ai sanam kartā rahā
dushmanoñ kī dushmanī bhī us ke aage kuchh nahīñ
sāzisheñ jo har qadam par ham-qadam kartā rahā
lāDle ne ḳhat ke badle paise bhijvā.e magar
baap milne kī tamannā dam-ba-dam kartā rahā
jhuuT tū kar ke dikhāvā ban gayā sachchā vahāñ
aur sach kone meñ baiThā aañkh nam kartā rahā
likh na paayā ab talak tū baat dil kī ai 'ziyā'
sirf in kā un kā afsāna raqam kartā rahā