Subhash Pathak Ziya

baDha jo dard-e-jigar gham se dosti kar li

Subhash Pathak Ziya

Shivpuri, Madhya Pradesh, India

1990
baḌhā jo dard-e-jigar ġham se dostī kar lī
lahū jo aañkh se Tapkā to shā.erī kar lī
kisī charāġh se shikva nahīñ kiyā maiñ ne
jalāyā ḳhūn-e-jigar aur raushnī kar lī
maiñ naaz kyuuñ na karūñ apne TuuTe ḳhvāboñ par
ki ḳhud-kushī bhī inhoñne ḳhushī ḳhushī kar lī
vo ik ḳhatā hameñ barbād kar diyā jis ne
maza ye dekho ki phir se ḳhatā vahī kar lī
na tum mile na tumhārī koī ḳhabar aa.ī
tumhāre shahr meñ din guzrā raat bhī kar lī
hai pyaar se hī 'ziyā' zindagānī meñ raunaq
to ye na kahiye ki barbād zindagī kar lī
Top Urdushayar.com