Tahir Adeem

bujh rahi hai aankh ye jism hai jumud mein

Tahir Adeem

Punjab, Pakistan

1973
bujh rahī hai aañkh ye jism hai jumūd meñ
ai makīn-e-shahr-e-dil aa mirī hudūd meñ
paḌ ga.ī darāḌ sī kyā darūn-e-dil kahīñ
aa ga.ī shikastagī kyuuñ mire vajūd meñ
ḳhvāhish-e-qadam ki hoñ us taraf hī gāmzan
dil kī aarzū rahe us kī hī quyūd meñ
rañg kyā ajab diyā merī bevafā.ī ko
us ne yuuñ kiyā ki mere ḳhat jalā.e uud meñ
tū ne jo diyā hameñ us se baḌh ke deñge ham
bevafā.ī asal zar nafratoñ ko suud meñ
bām-e-intizār par dekhtā huuñ do diye
jhāñktā huuñ jab kabhī raftagāñ ke duud meñ
Top Urdushayar.com