Tahir Adeem

mujhe wo chhoD kar jab se gaya hai intiha hai

Tahir Adeem

Punjab, Pakistan

1973
mujhe vo chhoḌ kar jab se gayā hai intihā hai
rag-o-pai meñ fazā-e-karbalā hai intihā hai
mire hālāt haiñ nārāz is pe kyā karūñ maiñ
gurezāñ āsmānoñ se duā hai intihā hai
ġham o ālām haiñ yā hasrateñ haiñ zindagī meñ
tumhāre baad baaqī kyā bachā hai intihā hai
faqat tum hī nahīñ nārāz mujh se jān-e-jānāñ
mire andar kā insāñ tak ḳhafā hai intihā hai
kahīñ manzar asālīb-e-havas ke chār-sū haiñ
kahīñ pe ḳhūn-ālūda fazā hai intihā hai
ḳhamoshī toḌ de ai ḳhāliq-e-arz-o-samā ab
tirī maḳhlūq ban baiThī ḳhudā hai intihā hai
ġhazal jo tum pe 'tāhir' ne likhī thī jān-e-'tāhir'
vahī to zīnat-e-bām-e-baqā hai intihā hai
Top Urdushayar.com