āñkhoñ meñ hai kaisā paanī band hai kyuuñ āvāz
apne dil se pūchho jānāñ merī chup kā raaz
us ke zaḳhm ko sahnā rahnā us meñ hī mahsūr
us ke zulm pe hañs kar kahnā terī umr darāz
terī marzī ḳhushiyoñ ke yā chheḌ ġhamoñ ke raag
tū merī sur-tāl kā mālik maiñ huuñ terā saaz
dil kī har dhaḌkan kā maujib diid shunīd tirī
siine meñ jaltī sāñsoñ kā tū hī ek javāz
aur sī aur huā hai sājan ziist kā har mafhūm
aur sī aur huī hai merī sochoñ kī parvāz
tujh bin kaun banegā ḳhālī āñkheñ guñg sadā
tujh bin jaan karegā 'tāhir' kis se raaz niyāz