har ek rasta-e-pāyāb se nikalnā hai
sarāb-e-umr ke har baab se nikalnā hai
sar-e-anāsir-e-kamyāb se nikalnā hai
shumār-e-nādir-o-nāyāb se nikalnā hai
tavīl-tar se kisī ḳhvāb meñ utarne ko
har ek shaḳhs ko is ḳhvāb se nikalnā hai
lahū lahū sar-e-mizhgāñ tulu'a honā hai
kinār-e-ḳhitta-e-pur-āb se nikalnā hai
use bhī parda-e-tahzīb ko girānā hai
mujhe bhī paikar-e-nāyāb se nikalnā hai
sukūn lamha-e-bhārī ne hī ugalnā hai
to chain arsa-e-be-tāb se nikalnā hai
nahīñ hai rahnā use bhī bahār meñ 'tāhir'
mujhe bhī mausam-e-shādāb se nikalnā hai