gulāb chāñdnī-rātoñ pe vaar aa.e ham
tumhāre hoñToñ kā sadqa utaar aa.e ham
vo ek jhiil thī shaffāf niil paanī kī
aur us meñ Duub ko ḳhud ko nikhār aa.e ham
tire hī lams se un kā ḳhirāj mumkin hai
tire baġhair jo umreñ guzār aa.e ham
phir us galī se guzarnā paḌā tirī ḳhātir
phir us galī se bahut be-qarār aa.e ham
ye kyā sitam hai ki is nashsha-e-mohabbat meñ
tire sivā bhī kisī ko pukār aa.e ham