so rahā huuñ maiñ ki ye jaagā huā sā ḳhvāb hai
lā-shu.ūrī vus.atoñ meñ ūñghtā sā ḳhvāb hai
muḳhtasar haiñ zindagī ke din magar rāteñ tavīl
bevafā āñkhoñ ko hāsil bā-vafā sā ḳhvāb hai
ek manzar ko mukammal dekhtā hai kaun ab
koī suntā hai kahāñ kyā gūñjtā sā ḳhvāb hai
naag hai sāya-fagan sar par huuñ maiñ mahv-e-ḳhirām
mujh apāhij ko mayassar shañkar-āsā ḳhvāb hai
shā.irī meñ anfus o āfāq mub.ham haiñ abhī
isti.āra hī haqīqat meñ ḳhudā sā ḳhvāb hai
ḳhaam hai 'kāvish' hamārā ḳhvāb din meñ dekhnā
shaiḳh-chillī aur sab kā be-tukā sā ḳhvāb hai