ek sajda ḳhush-gulū ke aage sahvan ho gayā
us pe koī mo'tariz hogā to qasdan ho gayā
kufr kā fatvā huā sādir to ḳhush-qismat thā maiñ
tazkira merā bhī har masjid meñ zimnan ho gayā
ānan-fānan meñ kisī ne dast-gīrī kī mirī
kaam thā mushkil kā ahlan aur sahlan ho gayā
tauan-o-karhan baḌhāte haiñ mulāqātoñ ko haath
sab se yārāna mirā mauqūf qat.an ho gayā
ḳhvāb hī is baar dekhā thā kabhī maiñ ne jise
dū-badū us se tasādum ittifāqan ho gayā
mustahiq jannat kā ik 'kāvish' nahīñ vo bhī to hai
qatl merā ek jāhil se jo shar.an ho gayā