ek ik gaam pe pathrāv huā hai mujh meñ
silsila ġham kā bahut duur chalā hai mujh meñ
itnā phailā huuñ simaTnā hī paḌegā shāyad
koī shiddat se mujhe DhūñD rahā hai mujh meñ
ashk Tapke to koī raaz kī tahrīr milī
aur kyā kyā nahīñ ma.alūm likhā hai mujh meñ
gūñjtā rahtā huuñ maiñ koī sune yā na sune
bhūlī-bisrī huī yādoñ kī sadā hai mujh meñ
hogī zaa.il na kabhī mere nafas kī ḳhushbū
ġham tirā uud kī mānind jalā hai mujh meñ
tāq-e-nisyāñ pe diyā kis ne ye rakh chhoḌā hai
ek muddat se jalā hai na bujhā hai mujh meñ
ek manzar bhī na dekhā gayā mujh se 'kāvish'
saare aalam ko koī dekh rahā hai mujh meñ