Kavish Badri

wajud-e-dil ke darwazon ki kunji kaun rakhta hai

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
vajūd-e-dil ke darvāzoñ kī kunjī kaun rakhtā hai
faqīroñ ke barābar ganj-e-maḳhfī kaun rakhtā hai
vahāñ pahuñchā diyā hai mujh ko añgusht-e-tafakkur ne
jahāñ mere sivā yād-e-ilāhī kaun rakhtā hai
ye qatra kaun hai ye naqsh-e-uryāñ biij hai kis kā
badan meñ sañg-e-buniyād-e-ma.ānī kaun rakhtā hai
jalā kar ḳhair ashyā ko tanūr-e-chashm-e-hastī meñ
nazar koī baqā par itnī gahrī kaun rakhtā hai
lahū sahbā badan mīnā-e-ḳhākī ban gayā 'kāvish'
zarā dekho to yuuñ faizān-e-sāqī kaun rakhtā hai
Top Urdushayar.com