lafz kī buhtāt itnī naqd o fan meñ aa ga.ī
masḳh ho kar sūrat-e-ma.anī suḳhan meñ aa ga.ī
nisf āñkheñ khol kar hī us ne dekhā thā mujhe
chalne phirne kī sakat maflūj tan meñ aa ga.ī
ab na vo ahbāb zinda haiñ na rasm-ul-ḳhat vahāñ
ruuTh kar urdu to dehlī se dakan meñ aa ga.ī
us ke chehre kā mujhe mardāna-pan achchhā lagā
chāshnī namkīn sī saare badan meñ aa ga.ī
kyuuñ saperā-pan tire nainoñ meñ paidā ho gayā
is qadar shoḳhī kidhar se bāñkpan meñ aa ga.ī
ek bosa hoñT par phailā tabassum ban gayā
jo harārat thī mirī us ke badan meñ aa ga.ī
ek vahshī sinf se ham ne sharāfat siikh lī
panj-tan kī lau ġhazal kī anjuman meñ aa ga.ī
ḳhuld kī tasvīr 'kāvish' hū-ba-hū kashmīr thī
laash us kī pairahan se ḳhud kafan meñ aa ga.ī