Azhar Iqbal

teri samt jaane ka rasta nahin ho raha

Azhar Iqbal

Meerut, Uttar pradesh, India

1978
tirī samt jaane kā rāsta nahīñ ho rahā
rah-e-ishq meñ koī mo.ajiza nahīñ ho rahā
koī aa.ina ho jo ḳhud se mujh ko milā sake
mirā apne-āp se sāmnā nahīñ ho rahā
tū ḳhudā-e-husn-o-jamāl hai to huā kare
terī bandagī se mirā bhalā nahīñ ho rahā
koī raat aa ke Thahar ga.ī mirī zaat meñ
mirā raushnī se bhī rābta nahīñ ho rahā
use apne hoñToñ kā lams do ki ye saañs le
ye jo peḌ hai ye harā-bharā nahīñ ho rahā
Top Urdushayar.com