dost jitne bhī the mazār meñ haiñ
ġhāliban mere intizār meñ haiñ
vo na hote mirā vajūd na thā
maiñ na hotā vo kis shumār meñ haiñ
shāḳh-e-idrāk meñ jo kāñTe haiñ
phuul banñe ke intizār meñ haiñ
kyā sabab hai ki ek mausam meñ
kuchh ḳhizāñ meñ haiñ kuchh bahār meñ haiñ
ek shā.ir banā ḳhudā-e-suḳhan
jo rasūl-e-suḳhan the ġhaar meñ haiñ
ḳhaar samjho na tum unheñ hargiz
saañp ke daañt gul ke haar meñ haiñ
shimr-o-fir.aun kab hue marhūm
un ke ausāf rishte-dār meñ haiñ
sab ke sab kāvish-e-farishta-ḳhisāl
aib jitne haiñ ḳhāksār meñ haiñ