Kavish Badri

tariKH ke safhat mein koi nahin ham-sar mera

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
tārīḳh ke safhāt meñ koī nahīñ ham-sar mirā
mahv-e-safar hai aaj tak pheñkā huā patthar mirā
har samt sehn-e-zāt meñ phaile hue saa.e mire
baiThā hai taḳht-e-fikr par simTā huā dilbar mirā
kyā ḳhush-nasībī hai mirī maiñ ek tanhā fauj huuñ
jhuuT aur sach kī jañg meñ kaam aa gayā lashkar mirā
māhaul sab kā ek hai āñhkeñ vahī nazreñ vahī
sab se alag rāheñ mirī sab se judā manzar mirā
ik rañg-e-istiġhrāq hai ik nik.hat-e-āvārgī
Thahrā huā gāgar meñ hai bahtā huā sāgar mirā
duniyā karegī ek din aurāq-gardānī mirī
yaad aa.egā ahbāb ko ganjīna-e-gauhar mirā
'kāvish' anā kī qaid ke dīvār-o-dar girne ko haiñ
ik ālam-e-asġhar meñ hai ik ālam-e-akbar mirā
Top Urdushayar.com