Kavish Badri

kahin charagh jala raushni kahin pahunchi

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
kahīñ charāġh jalā raushnī kahīñ pahuñchī
khulī thī aañkh kahīñ zindagī kahīñ pahuñchī
jo rū-ba-rū hai usī kī talāsh jaarī hai
nazar uThī kahīñ bad-qismatī kahīñ pahuñchī
hazār fāsle tai kar ke bhī vahīñ ham haiñ
kahīñ se ho ke tumhārī galī kahīñ pahuñchī
lahū uchhāl ke banjar zamīñ ko sīñchā thā
ġhazab to ye hai ki saarī namī kahīñ pahuñchī
ḳhushī kā kyā hai bharosā mile mile na mile
vo mere ghar kā pata DhūñDhtī kahīñ pahuñchī
vo muztarib hai ki farzāngī ko kuchh na milā
maiñ mutma.in huuñ ki dīvāngī kahīñ pahuñchī
uḌaan merī par-o-bāl se bhī aage thī
uḌā ke mujh ko mirī shā.irī kahīñ pahuñchī
Top Urdushayar.com