Kavish Badri

tir ki parwaz hai mashkiza-e-dil ki taraf

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
tiir kī parvāz hai mashkīza-e-dil kī taraf
ho ke ghāyal phir bhī ham maa.il haiñ qātil kī taraf
go nahīñ pairāk lekin hausla baḌhne kā hai
mauj kī ik fauj saf-basta hai sāhil kī taraf
har jagah hāzir huuñ maiñ apne misālī tan ke saath
fāsle aur vaqt be-ma.anī haiñ manzil kī taraf
jaisī apnī ain hai utnī hī apnī dauḌ-dhūp
qais mahmil kī taraf ham sham-e-mahfil kī taraf
saut-e-nāqūs-o-jaras ho yā azaañ ho yā jaras
rāsta ik aur jaatā hai salāsil kī taraf
jaise be-harf-o-navā utrī hai ilhāmī kitāb
vo muḳhātab haiñ usī andāz se dil kī taraf
bāda-ḳhvāroñ meñ bhī ham 'kāvish' valī ban kar jiye
ruḳh hamārā thā tasavvuf ke masā.il kī taraf
Top Urdushayar.com