Kavish Badri

raat bhi humne ro-ro kaTi din bhi so ke KHarab kiya

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
raat bhī ham ne ro-ro kaaTī din bhī so ke ḳharāb kiyā
khulne vaalī āñkhoñ ko bhī amdan mahv-e-ḳhvāb kiyā
ek hī roTī ko dho dho kar piite rahe ham shām-o-sahar
saarī umr meñ shāyad ham ne ek hī kār-e-savāb kiyā
rizq to hai maqsūm hamārā us ko duā kī hājat kyuuñ
Dhāñk ke chehra dast-e-duā se ham ne ḳhud se ḳhitāb kiyā
us kī nazar se tiir jo niklā Thiik nishāne par baiThā
ghāyal aahū ban kar ham ne ban ban ko shādāb kiyā
ashk bahā dene ke hunar meñ saanī us kā koī nahīñ
ik din hañste hañste us ne sab ko tah-e-sailāb kiyā
bachpan meñ dekhā thā ham ne maañ kā chehra yaad nahīñ
bū-alī-sīnā ban kar ham ne us ke ruḳh ko kitāb kiyā
Top Urdushayar.com