Kavish Badri

patthar bana kar arsh se phenka gaya tha ek main

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
patthar banā kar arsh se pheñkā gayā thā ek maiñ
shāyad ḳhudā se pahle hī puujā gayā thā ek maiñ
taḳhlīq-kārī meñ tujhe hāsil mahārat hai magar
kis inhimāk-o-shauq se sochā gayā thā ek maiñ
tiflī se piirī tak mire ahvāl sun lenā kabhī
vaqt-e-vilādat hī bahut kosā gayā thā ek maiñ
naqsh-e-qadam bhī aap kā ik saañp kā phan hī lagā
sāya-numā ḳhanjar se hī maarā gayā thā ek maiñ
din sā-re-gā-mā meñ kaTā shab pā-dhā-nī-sā meñ kaTī
niklī surīlī ek vo kaan āshnā thā ek maiñ
kashkol bhī ban jā.egī ik roz apnī khopaḌī
miTTī ke bartan kī tarah bartā gayā thā ek maiñ
gaa.ek huā shā.ir huā āshiq huā suufī huā
dīvāne-pan kī had na thī kyā kyā banā thā ek maiñ
kyā tum hī 'kāvish' ho miyāñ kuchh e.atibār aatā nahīñ
allāh-miyāñ hī ek haiñ kahte ho kyuuñ thā ek maiñ
Top Urdushayar.com