az-sar-e-nau fikr kā āġhāz karnā chāhiye
be-par-o-bāl sahī parvāz karnā chāhiye
sat.h par rahte haiñ un ko Dūbnā aatā nahīñ
kyuuñ na in tinkoñ ko sar-afrāz karnā chāhiye
qurb meñ duurī bahut hai bod meñ qurbat bahut
har tavālat ko atā ījāz karnā chāhiye
dil banā tā.ūs andeshe bane zaaġh o zaġhan
zehn ko ham-pāya-e-shahbāz karnā chāhiye
har adā māshūq kī bantī hai paimān-e-vafā
laġhzish-e-pā ko nazar-andāz karnā chāhiye
sher kī taḳhlīq 'kāvish' fel-e-jinsī to nahīñ
mānavī aulād par hī naaz karnā chāhiye