Kavish Badri

shurua silsila-e-did karne wala tha

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
shurūa silsila-e-dīd karne vaalā thā
ta.āruf-e-ruḳh-e-tauhīd karne vaalā thā
ḳhud us kī zuud lisānī ne us ko guñg kiyā
vo mere haal pe tanqīd karne vaalā thā
mizāj-e-yār ne baḳhshī thī aisī yak-rañgī
kahāñ maiñ ġhair kī taqlīd karne vaalā thā
tū muntahā ko pahuñch kar bhī sifr hai ab tak
tujhe maiñ vāqif-e-tamhīd karne vaalā thā
hamārī saal meñ do baar jaan jaatī hai
vo shaḳhs roz hī ik iid karne vaalā thā
vo mere va.az se masjid meñ jab sambhal na sakā
sharāb-ḳhāne meñ tākīd karne vaalā thā
bachā ke fikr ko talḳhāba-e-tavārud se
ġhazal ko ḳhūgar-e-ta.aqīd karne vaalā thā
vo ham-piyāla bhī thā ḳhvāja-e-tāsh bhī 'kāvish'
jo baat baat pe tardīd karne vaalā thā
Top Urdushayar.com