Kavish Badri

dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
dast-e-kohsār se phislā huā patthar huuñ maiñ
sar-ba-sar sañg-tarāshoñ kā muqaddar huuñ maiñ
ghūñT lamhāt kī pī pī ke dhulā jaatā huuñ
an-ginat vaqt ke dhāroñ kā shanāvar huuñ maiñ
kyā Dubo detā huuñ maiñ dil ke kueñ meñ ḳhud ko
chashm-e-be-nūr meñ yūsuf kā barādar huuñ maiñ
kirchiyāñ zehn meñ paivast haiñ palkoñ kī tarah
chashm-e-ayyām se chhūTā huā sāġhar huuñ maiñ
oḌh letī hai mujhe sard fazā kī devī
karb kī dhuup meñ taptī huī chādar huuñ maiñ
merī āvāz ko āvāz ne taqsīm kiyā
radio meñ huuñ telephone ke andar huuñ maiñ
na.e māhaul se mānūs nahīñ huuñ ab tak
nanhe bachche kī tarah ḳhol ke andar huuñ maiñ
chand ash.ār mile type-shuda daftar meñ
type-writer pe biThāyā huā bandar huuñ maiñ
Top Urdushayar.com