zamīn-e-dil ik arse ba.ad jal-thal ho rahī hai
koī bārish mere andar musalsal ho rahī hai
lahū kā rañg phailā hai hamāre canvas par
terī tasvīr ab jā kar mukammal ho rahī hai
havā-e-tāza kā jhoñkā chalā aayā kahāñ se
ki muddat ba.ad sī paanī meñ halchal ho rahī hai
tujhe dekhe se mumkin maġhfirat ho jaa.e us kī
tere bīmār kī bas aaj aur kal ho rahī hai
vo sāhab aa hī ga.ī band-e-qabā kholne lage haiñ
pahelī thī jo ik uljhī huī hal ho rahī hai