Kavish Badri

sang aur KHisht-e-malamat se bacha lo mujhko

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
sañg aur ḳhisht-e-malāmat se bachā lo mujh ko
apne darbār kī dīvār banā lo mujh ko
pāra-pāra ho anā aur sar-e-maġhrūr fanā
geñd kī tarah fazāoñ meñ uchhālo mujh ko
luqma-e-tar ne mire nafs ko barbād kiyā
yaad karte raho kañkar ke nivālo mujh ko
jaane kis qabr kā hai paikar-e-ḳhālī merā
maiñ khilaunā huuñ to bas toḌ hī Daalo mujh ko
dasht-e-pur-ḳhār meñ huuñ ik shajar-e-ḳhām abhī
apnī dahlīz kā taḳhta hī banā lo mujh ko
ik nazar ek nazar ek nazar ek nazar
sirf duzdīda-nazar Daal ke Taalo mujh ko
'kāvisham' kyā hai samajh meñ kabhī aa jā.egā
ġham-zada giit samajh kar kabhī gā lo mujh ko
Top Urdushayar.com