Kavish Badri

ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
ghar meñ huuñ go hunūt-shuda laash kī tarah
phirtī hai ruuh shahr meñ obāsh kī tarah
bāzīcha-e-farā.ina-e-misr dekhnā
ham āhanī giraft meñ haiñ taash kī tarah
ye jān-e-nā-tavāñ bhī hai kyā samra-e-hayāt
rakh dī ga.ī hai kaaT ke ik qaash kī tarah
sukh kī zamīñ basīt nahīñ hai to kyā huā
dukh to mirā vishāl hai ākāsh kī tarah
shāyad mirā vajūd hī pasmāñda ḳhaak ho
ḳhālī hai bazm-e-yār meñ qallāsh kī tarah
khiñchtā chalā huuñ maiñ kisī pātāl kī taraf
har anjuman hai markaz-e-purḳhāsh kī tarah
sau baar masḳh ho ke bhī ta.amīr-e-zindagī
pur-nūr hai manāra-e-zau-pāsh kī tarah
baaqī hai ham se dāman-e-roz-e-jazā kī laaj
go zindagī atā huī pādāsh kī tarah
Top Urdushayar.com