Kavish Badri

aur hoti meri ruswai nikharta aur kuchh

Kavish Badri

Ambur, Tamil Nadu, India

1927
aur hotī merī rusvā.ī nikhartā aur kuchh
ġhaur kartā aur kuchh iz.hār kartā aur kuchh
yaar logoñ meñ sabaq bantī mirī āvārgī
sāneha is shahr meñ mujh par guzartā aur kuchh
in dinoñ diida bhī lagtā hai shunīda kī tarah
kaash harf o saut ke man meñ utartā aur kuchh
āḳhirī hichkī se dam TuuTā na nabz apnī rukī
tū agar hotā mire aage to martā aur kuchh
saañs lene bhī na paayā thā ki manzar gum huā
maiñ kisī qābil na thā varna Thahartā aur kuchh
nasrī nazmeñ kahne vaale to farishte haiñ tamām
mujh gunahgār-e-ġhazal par qahr utartā aur kuchh
be-takalluf is qadar thā qatl merā kar diyā
vo adū hotā to 'kāvish' mujh se Dartā aur kuchh
Top Urdushayar.com