Zameer Kazmi

na aansuon mein kabhi tha na dil ki aah mein hai

Zameer Kazmi

na āñsuoñ meñ kabhī thā na dil kī aah meñ hai
tamāsh-bīn hamesha se raqs-gāh meñ hai
ba-nām-e-ishq mirī zindagī tire qurbāñ
magar nasīb mirā be-talab nibāh meñ hai
maiñ jāntā huuñ ki hai kis kī aañkh kā aañsū
vo ek la.al jo ab tak mirī kulāh meñ hai
diloñ ke rishte haiñ sab alvidā'ī manzil meñ
ki nā-guzīr aziyyat har ek chaah meñ hai
namāz-e-īd ka.ī saal se na paḌh paayā
ba-nām-e-maut koī ḳhauf eid-gāh meñ hai
ye merī fikr na.e daur kī amānat hai
ki aane vaalī sadī bhī mirī nigāh meñ hai
ye ittifāq bhī ik inhirāf hai goyā
mirā 'zamīr' abhī tak mirī panāh meñ hai
Top Urdushayar.com