Zameer Kazmi

duniya ki saltanat mein KHuda ke KHilaf hain

Zameer Kazmi

duniyā kī saltanat meñ ḳhudā ke ḳhilāf haiñ
shahr-e-charāġh meñ jo havā ke ḳhilāf haiñ
farsūda-o-fuzūl rivāyat ke naam par
apne tamām dost vafā ke ḳhilāf haiñ
ḳhāmoshiyoñ ke dasht meñ kyuuñ chīḳhte ho tum
qānūn sab yahāñ ke sadā ke ḳhilāf haiñ
kab se uḌā rahī haiñ qanā.at kī dhajjiyāñ
ye hājateñ jo sabr-o-razā ke ḳhilāf haiñ
insāniyat kī ḳhair ho yārab zamīn par
kuchh be-shu.ūr lamhe fazā ke ḳhilāf haiñ
lab ke tamām harf hue be-asar 'zamīr'
hālāt-e-zindagī ke duā ke ḳhilāf haiñ
Top Urdushayar.com