ye kār-e-be-samar hai agar kar liyā to kyā
ik dā.ere meñ ham ne safar kar liyā to kyā
duniyā se maiñ ne bhī koī raġhbat nahīñ rakhī
us ne bhī mujh se sarf-e-nazar kar liyā to kyā
ḳhushbū kabhī giraft meñ aa.ī na aa.egī
phūloñ ko tū ne zer-e-asar kar liyā to kyā
Dheroñ sitāre ab bhī tire ās-pās haiñ
maiñ ne pasand ek sharar kar liyā to kyā
dil se ga.ī na masnad o asnād kī havas
paiham tavāf-e-shahr-e-hunar kar liyā to kyā
'tālib' nasheb-e-shab se guzar kar dikhā mujhe
tai haft-ḳhvān-e-bām-e-sahar kar liyā to kyā