Mushir Jhanjhanvi

tab-e-nazar se un ko pareshan kiye hue

Mushir Jhanjhanvi

Jhanjhana, Uttar pradesh, India

1926-1990
tāb-e-nazar se un ko pareshāñ kiye hue
ā.īna-e-jamāl ko hairāñ kiye hue
jalte rahe charāġh kī sūrat tamām umr
lekin fazā-e-ġham ko farozāñ kiye hue
terī galī meñ jashn-e-bahārāñ hai be-ḳhabar
aa.e haiñ log dil ko gulistāñ kiye hue
saaqī bas ek jām-e-sukūñ chāhiye mujhe
hālāt-e-zindagī haiñ pareshāñ kiye hue
ham bhī sharīk-e-jashn-e-bahārāñ hue to haiñ
tār-e-nazar ko sarf-e-garebāñ kiye hue
guzrā huuñ zindagī kī har ik kashmakash se maiñ
dil ko harīf-e-gardish-e-daurāñ kiye hue
pās-e-vafā ne ḳhud hī garebāñ ko sī diyā
ham bhī chale the chāk-e-garebāñ kiye hue
dair o haram ke log hameñ aa ke dekh leñ
ham haiñ tavāf-e-kūcha-e-jānāñ kiye hue
baiThe haiñ ajnabī kī tarah ham bhī ai 'mushīr'
ḳhud ko sharīk-e-bazm-e-harīfāñ kiye hue
Top Urdushayar.com