soz-o-gudāz-e-ishq kā charchā na kar sake
husn-e-sitam-zarīf ko rusvā na kar sake
vo zaḳhm chāhtā huuñ maiñ ai husn-e-dil-fareb
jis ko tirī nigāh bhī achchhā na kar sake
jab yaad aa gayā hameñ afsāna-e-azal
ġham-hā-e-rozgār kā shikvā na kar sake
uTThī nigāh-e-shauq to pathrā ke rah ga.ī
is jalva-e-hasīñ kā nazārā na kar sake
saaqī tirī nigāh kā andāz dekh kar
mai-kash ba-qadr-e-zarf taqāzā na kar sake
ḳhud e'tirāf-e-jurm kiyā ham ne ai 'mushīr'
lekin shikast-e-husn gavārā na kar sake