Mushir Jhanjhanvi

sitam mein bhi shan-e-karam dekhte hain

Mushir Jhanjhanvi

Jhanjhana, Uttar pradesh, India

1926-1990
sitam meñ bhī shān-e-karam dekhte haiñ
hameñ jānte haiñ jo ham dekhte haiñ
jahāñ tak ta.alluq hai aib o ḳhatā kā
jo ahl-e-nazar haiñ vo kam dekhte haiñ
tirā intizār is qadar baḌh gayā hai
ki har aane vaale ko ham dekhte haiñ
nazar sū-e-kāba hai dil but-kade meñ
ham andāz-e-ahl-e-haram dekhte haiñ
nigāheñ yūñhī mil ga.iiñ be-irāda
na vo dekhte haiñ na ham dekhte haiñ
ye duniyā to kyā hai sar-e-arsh-e-āzam
ham apnā hī naqsh-e-qadam dekhte haiñ
kise apnā hāl-e-pareshāñ sunā.eñ
pareshāñ zamāne ko ham dekhte haiñ
mirī manzilat kuchh isī se samajhiye
mirī raah dair o haram dekhte haiñ
tirī justujū meñ ham ahl-e-tamannā
ḳhushī dekhte haiñ na ġham dekhte haiñ
'mushīr' ahl-e-bīnash mirī har ġhazal meñ
dimāġh aur dil ko baham dekhte haiñ
Top Urdushayar.com