Mushir Jhanjhanvi

teri chashm-e-sitam-ijad se Dar lagta hai

Mushir Jhanjhanvi

Jhanjhana, Uttar pradesh, India

1926-1990
terī chashm-e-sitam-ījād se Dar lagtā hai
ye ġhalat hai kisī uftād se Dar lagtā hai
is liye chup huuñ ki ādāb-e-qafas par hai nazar
kaun kahtā hai ki sayyād se Dar lagtā hai
ham to lazzat-kash-e-āzār haiñ ai josh-e-vafā
aur haiñ vo jinheñ bedād se Dar lagtā hai
tere jalvoñ ko kahīñ aam na kar deñ ai dost
is liye mānī-o-bahzād se Dar lagtā hai
kaash vo vaqt na aa.e mirī duniyā meñ kabhī
jab mohabbat kī har uftād se Dar lagtā hai
kahīñ aisā na ho zindāñ bhī bayābāñ ho jaa.e
ishq kī fitrat-e-āzād se Dar lagtā hai
pahle Dar thā ki kahīñ bhuul na jā.ūñ tujh ko
ab ye aalam hai tirī yaad se Dar lagtā hai
na vo ādāb-e-vafā haiñ na vo ādāb-e-junūñ
ai 'mushīr' ab dil-e-nāshād se Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com