nazroñ kī zid se yuuñ to maiñ ġhāfil nahīñ rahā
pahlū meñ ai 'mushīr' magar dil nahīñ rahā
ai dil tasavvurāt kā hāsil nahīñ rahā
koī mirī nazar ke muqābil nahīñ rahā
maujoñ pe e'timād na kyuuñ kar kare koī
sāhil to e'tibār ke qābil nahīñ rahā
ādāb-e-bazm-e-nāz pe ai dil nazar to hai
maanā ki dard zabt ke qābil nahīñ rahā
vo chashm-e-ishva-kār hai āmāda-e-karam
ab dard e'tibār ke qābil nahīñ rahā
jalvoñ kā ehtirām nigāhoñ meñ hai 'mushīr'
maiñ apne farz se kabhī ġhāfil nahīñ rahā