merī nazar nazar meñ haiñ manzar jale hue
ubhreñge harf harf se paikar jale hue
sho.aloñ kā raqs āb-e-ravāñ tak pahuñch gayā
dariyā pe bah ke aa.e haiñ chhappar jale hue
har zarra is zamīn kā lau de rahā hai aaj
kal aap ko mileñge samundar jale hue
nikle haiñ un ke ghar se bhī ḳhanjar jale hue
āñkhoñ kī is jalan se nā mil pā.egī najāt
dekhe haiñ merī āñkhoñ ne manzar jale hue
Darne lage haiñ aag se ātish-parast bhī
be-ḳhvāb vahshatoñ ko sulāne ke vāste
ārāsta haiñ aaj bhī bistar jale hue