Mushir Jhanjhanvi

dil betab-e-marg-e-na-gahan baqi na rah jae

Mushir Jhanjhanvi

Jhanjhana, Uttar pradesh, India

1926-1990
dil betāb-e-marg-e-nā-gahāñ baaqī na rah jaa.e
mohabbat kā ye nāzuk imtihāñ baaqī na rah jaa.e
sambhal kar phūñk ai barq-e-tapāñ mere nasheman ko
kahīñ ujlat meñ shāḳh-e-āshiyāñ baaqī na rah jaa.e
madad ai josh-e-girya ḳhūn-e-dil shāmil hai ashkoñ meñ
koī is silsila kī dāstāñ baaqī na rah jaa.e
mohabbat kī hadeñ is ālam-e-imkāñ se baalā haiñ
kisī kī justujū meñ lā-makāñ baaqī na rah jaa.e
tirī shān-e-karam par koī harf aa.e ma.āz-allāh
koī mai-ḳhvār ai pīr-e-muġhāñ baaqī na rah jaa.e
musāfir ishq kī manzil sarāpā raaz hotī hai
kahīñ chehre pe gard-e-kārvāñ baaqī na rah jaa.e
nasheman se qafas tak silsila ho barq-e-larzāñ kā
ye tarz-e-jaur bhī ai āsmāñ baaqī na rah jaa.e
tumhāre sāmne aañsū bhī tham tham kar nikalte haiñ
maiñ Dartā huuñ kahīñ ye dāstāñ baaqī na rah jaa.e
'mushīr' ab har nazar meñ ek lutf-e-ḳhās paatā huuñ
koī ishva nasīb-e-dushmanāñ baaqī na rah jaa.e
Top Urdushayar.com