Mushir Jhanjhanvi

mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai

Mushir Jhanjhanvi

Jhanjhana, Uttar pradesh, India

1926-1990
mohabbat meñ sahar ai dil barā.e naam aatī hai
ye vo manzil hai jis manzil meñ aksar shaam aatī hai
safīna jis jagah Duubā thā merā bahr-e-ulfat meñ
vahāñ har mauj ab tak larza-bar-andām aatī hai
na jaane kyuuñ dil-e-ġham āshnā ko dekh letā huuñ
jahāñ kānoñ meñ āvāz-e-shikast-e-jām aatī hai
dil-e-nādāñ yahī rañgīñ adā.eñ luuT letī haiñ
shafaq kī surḳhiyoñ hī meñ to chhup kar shaam aatī hai
mohabbat ne har ik se be-ta.alluq kar diyā mujh ko
tumhārī yaad bhī ab to barā.e naam aatī hai
na jaane kaun sī mahfil meñ ab tum jalva-farmā ho
nazar rah rah ke uThtī hai magar nākām aatī hai
ġham-e-daurāñ se mil jaatī hai thoḌī der ko fursat
tasavvur meñ jahāñ ik jannat-e-benām aatī hai
badal saktā huuñ us kā ruḳh magar ye soch kar chup huuñ
tumhārā naam le kar gardish-e-ayyām aatī hai
laraz uThte haiñ kaunain ai 'mushīr' anjām-e-ulfat par
jabīn-e-shauq us ke dar se jab nākām aatī hai
Top Urdushayar.com