Mushir Jhanjhanvi

ishq ki shoala-mizaji KHud hi barsati hai aag

Mushir Jhanjhanvi

Jhanjhana, Uttar pradesh, India

1926-1990
ishq kī sho.ala-mizājī ḳhud hī barsātī hai aag
baañs ke jañgal meñ apne-āp lag jaatī hai aag
jaan lene ke tarīqe kis qadar dilchasp haiñ
zahr barsātī hai shabnam phuul barsātī hai aag
harf jab aatā hai nāmūs-o-vaqār-e-ishq par
shiddat-e-ehsās se rag rag meñ lahrātī hai aag
nā-muvāfiq daur meñ apne bhī ho jaate haiñ ġhair
ḳhushk mausam ho to dīvāroñ meñ lag jaatī hai aag
dekhne vaale zarā nazdīk jā kar dekhte
duur se ḳhush-rañg ḳhush-paikar nazar aatī hai aag
ātish-e-jazbāt se raushan he duniyā-e-'mushīr'
jism ke āzar-kade meñ nuur ban jaatī hai aag
Top Urdushayar.com