mujh ko vahshat huī mire ghar se
raat terī judā.ī ke Dar se
terī furqat kā habs thā andar
aur dam ghuT rahā thā bāhar se
jism kī aag bujh ga.ī lekin
phir nadāmat ke ashk bhī barse
ek muddat se haiñ safar meñ ham
ghar meñ rah kar bhī jaise beghar se
bār-hā terī justujū meñ ham
tujh se milne ke ba.ad bhī tarse