nasīb-e-ishq masarrat kabhī nahīñ hotī
ye bazm vo hai jahāñ raushnī nahīñ hotī
jabīn-e-ishq ke sajde qubūl hote haiñ
mizāj-e-husn meñ jab barhamī nahīñ hotī
samajh chuke haiñ asīrī ko ham payām-e-ajal
ki zindagi-e-qafas zindagī nahīñ hotī
mire baġhair unheñ kaun jaan saktā hai
vo yuuñ guzarte haiñ āvāz bhī nahīñ hotī
tirā sitam bhī to hai ek pursish-e-ḳhāmosh
tirī nigāh kabhī ajnabī nahīñ hotī
baḌhe chalo yahī vāraftagī kī manzil hai
rah-e-talab meñ kabhī shaam hī nahīñ hotī
dil ek ātish-e-ḳhāmosh hī sahī lekin
tumhārī yaad meñ koī kamī nahīñ hotī
mirī nazar meñ yaqīnan vo nañg-e-gulshan hai
amīn-e-rāz-e-chaman jo kalī nahīñ hotī
milī hai rāh-e-talab meñ 'mushīr' sirf mujhe
vo zindagī jo kabhī zindagī nahīñ hotī