Mushir Jhanjhanvi

teri barq-pash-nigah se tere hashr-KHez-KHiram se

Mushir Jhanjhanvi

Jhanjhana, Uttar pradesh, India

1926-1990
tirī barq-pāsh-nigāh se tire hashr-ḳhez-ḳhirām se
ba-sukūn-e-qalb guzar gayā maiñ har ek aise maqām se
mirī zindagī ke ye marhale hama-ittiqā hama-bandagī
mujhe kaif un kī nazar se hai koī vāsta nahīñ jaam se
vo lajā ga.e vo jhijhak ga.e vo Thahar ga.e kisī soch meñ
sar-e-rah kisī ne jo daf.atan unheñ dī sadā mire naam se
maiñ huuñ sham-e-mahfil-e-jāvedāñ mirī zindagī nahīñ muḳhtasar
maiñ charāġh-e-rāhguzar nahīñ jo bujhā bujhā sā ho shaam se
vo lihāz-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ vo mazāq-e-bāda-kashī kahāñ
hameñ phir atā ho mai-e-kuhan na.e daur meñ na.e jaam se
tirā zikr sun ke taḌap uThā tirā naam le ke maiñ ro diyā
mujhe ek nisbat-e-ḳhās hai tire zikr se tire naam se
na rahā 'mushīr' hī tishna-lab sar-e-bazm sāqī-e-be-ḳhabar
koī bāda-kash nahīñ mutma.in tire mai-kade ke nizām se
Top Urdushayar.com