Imam Azam

kisi ki baat koi bad-guman na samjhega

Imam Azam

Darbhanga, Bihar, India

1960
kisī kī baat koī bad-gumāñ na samjhegā
zamīñ kā dard kabhī āsmāñ na samjhegā
samundaroñ pe jo chaltā rahā hai be-maqsad
kahāñ haiñ paañv ke naqsh-o-nishāñ na samjhegā
use junūn hai lafzoñ se khelne kā bahut
hamārī saada sī lekin zabāñ na samjhegā
ye sab haiñ ahl-e-siyāsat inhī kī sāzish hai
yahī hai sach jise saarā jahāñ na samjhegā
jo merī zāhirī sūrat se khā rahā hai fareb
yaqīn jāniye dard-e-nihāñ na samjhegā
matā-e-lauh-o-qalam lūTtā rahā hai jo
lahū-luhān haiñ kyuuñ uñgliyāñ na samjhegā
kamāl-e-zabt ke bā-vasf koī bhī 'āzam'
ye kaise phaT gayā ātish-fishāñ na samjhegā
Top Urdushayar.com