qad baḌhāne ke liye baunoñ kī bastī meñ chalo
ye nahīñ mumkin to phir bachchoñ kī bastī meñ chalo
sabr kī chādar ko oḌhe ḳhvāb-gāhoñ meñ raho
sach kī duniyā chhoḌ kar va.adoñ kī bastī meñ chalo
jab bhī tanhā.ī ke hañgāmoñ se dam ghuTne lage
bhiiḌ meñ gum ho ke an-jānoñ kī bastī meñ chalo
Daal rakkhī hai ḳhirad-mandoñ ne chehroñ par naqāb
is liye kahtā huuñ dīvānoñ kī bastī meñ chalo
uñgliyoñ kī zarb se sāz-e-sukūñ ko toḌ kar
jab junūñ had se baḌhe, rishtoñ kī bastī meñ chalo
ik tumhārī ye qayādat mo'tabar rah jā.egī
haath meñ patthar liye shīshoñ kī bastī meñ chalo
bhiiḌ se 'āzam' yahāñ milnā-milānā chhoḌ kar
martaba ke vāste pardoñ kī bastī meñ chalo